Kyn jeeta hai teri zulf ke saar hooney tak
Dam har mauj me hai halqaa-e-saad kam-e-nahaang
Dekhain kyaa guzrii hai katrey pe guhar hooney tak
Aashiqi sabar talaab or tamaana betab
Dil ka kya rang karon khon-e-jigar hooney tak
Hum ney mana ke taGHafull na karo ge, lekiin
KHak ho jayeN gey hum tum ko KHabar hooney tak
Partav-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki taalim
MaiN bhi hooN ek inaayat ki nazar hooney tak
Yak nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
Garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hooney tak
GHam-e-hastee ka Asad kis se ho juz marg ilaaz
Shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hooney tak.