dil kay Aatish'daan main shab bhar
kaisay kaisay gham jaltey hain.!
neend bhara sannata jis dam
basti ki aik aik gali main
khirki khirki tham jata hai
deewaron per dard ka kuhra jam jata hai
rusta takney wali aankhain aur qandeelain bujh jati hain
to us lamhey,
teri yaad ka eendhan ban ker
shaula shaula hum jaltey hain
doori kay mausam jaltey hain
tum kia jano,
qatrah qatrah dil main utarti aur pighalti
raat ki suhbat kia hoti hai!
"aankhain sarey khuab bujha dain
chehray apney naqsh gunwa dain
aur aainay aks bhula dain
aisay main umeed ki wehshat
dard ki surat kia hoti hai!
aisi taiz hawa main piyarey
barey barey munh zor diye bhi kam jaltey hain
lekin phir bhi hum jaltey hain
hum jaltey hain aur humarey sath tumharey gham jaltey hain
teri yaad ka eendhan ban ker hum jaltey hain
0 comments:
Post a Comment