kiyon churaatay ho dekh kar aankhain
kar chuki meray dil mein ghar aankhain
chasham-e-nargis ko dekh lain phir hum
tum dikhaa do jo ik nazar aankhain
hai dawaa unki aatish-e-rukhsaar
senktay hain iss aag par aankhain
koi aasaan hai tera deedaar
pahlay banwaaye tow bashar aankhain
jalwaah-e-yaar ki na taab huwee
Toot aayi hain kis qadar aankhain
dil ko to ghoont-ghoont kar rakhhaa
maanti hi nahi magar aankhain
na gayi taank jhaank ki aadat
liye phirtii hain dar ba dar aankhain
kyaa yeh jaadoo_bhara na thha kaajal?
surKh kar li jo paunch kar aankhain
naavak-o-neeshtar teri palkain
sihr-pardaaz-o-fitnaagar aankhain
yeh niraala hai sharm ka andaaz
baat kartay ho dhaank kar aankhain
Khaak par kiyun ho naqsh-e-paa tera
hum bichhayen zameen par aankhain
nohaagar kaun hai muqaddar par
ronay waalon mein hain magar aankhain
yehi rona hai gar shab-e-Ghum ka
phooT jaayengi taa seher aankhain
Haal-e-dil dekhna nahi aata
dil ki banwaayen chaaragar aankhain
''DaaGh'' aankhain nikaaltay hain woh
unnko de do nikaal kar aankhain
0 comments:
Post a Comment