Monday, 9 May 2016

main bhool jati hoon her subah tera naam mager

kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko
ke zabt e gham ka saleeqa nahin hai aankhon ko

ajab bahaar -e- khizaan hai chaman main ab ki bahaar
hawa urraati phiri mere khushk pat'ton ko

safer abhi to zara sa kia hai tere baghair
abhi to rona buhat hai udaas aankhon ko

abhi to umer ka ye dasht paar kerna hai
charaagh kerna hai kuch be charaagh raaton ko

wo raasta bhi ajab tha wo humsafer bhi kamaal
jo mujh ko sounp gaya serphiri hawaaon ko

ke jin ko kaat dain khud mouja -e- bahaar ke haath
sajaye kon phir aisi bureedah shaakhon ko

chamakti jati hain or bheegti bhi jaati hain
huner ye kis ne sikhaya hai meri palkon ko

main bhool jati hoon her subah tera naam mager
main yaad kerti hoon her raat teri baaton ko

0 comments: